Hindi, asked by lokeshb, 1 year ago

maa mujhe aane de poem summary in Hindi or English.

Answers

Answered by prashant290
25
maa mujhe aane de
dar mat
aane de
falungi tare angan me hariyali ban kr
liptungi tare aanchal me khushbu bn kr
meri kilak aur thumakte kadmo me
ghar ka sannata
bikhar jayega
jo pasra he pita ke dambh
bhai ki udandta ke karan
sadiyon se.
ponch dungi andhera
jo tere mathe ki silvaton me simta he
kabhi kabhi jhar jata he os ki bundon sa
aankhon ki koron se.
aane to de
dhul jayega sara ka sara
rukhila ahsas
akdila mijaj
jo chipka he ghar ki
sari ki sari diwaron
band darvajon
khidkiyon me.
teri aankhon me tarte ye samunder
ye aasman ke aks
mane dekh liya he maa
maa
ja sakti hu me
dur paar
us jhilmilati duniya me
la sakti hu
vahan se chamkile tukde
tere sapnoke
samunder ki lahron ke thapedon me
dhund sakti hu me
moti sippy aur navikon ke kisse
me sb kutch jo roshni sa chamkila
rangon sa chatkil ho
par aane to de
dar mat
maa mujhe aane de.

lokeshb: SORRY SIR,I ASKED FOR THE SUMMARY
Similar questions