Hindi, asked by jdroch, 1 year ago

meaning of the poem swarg bana sakte hain

Answers

Answered by khushwinder1213
9

   svarg bana skte hain, dinkar ji ki prasiddh rachna kurukshetra ka ek ansh hai. mahabharat ke yuddh ke uprant dharmaraj yudhishtir bheeshm pitamah ke pas jate hain. bheeshm pitamah unhen updesh dete hain. 40 ke dashak mein likhi gayi is kavita ke dvara kavi bharat ki samajik dasha, uske vikas mein upasthit badhaon, aur usmen parivartan krke use svarg banane ki baat krte hain.

                pitamah yudhistr ko smjhate hue kahte hain ki yah bhumi kisi  vishesh vyakti ki amanat nahi hai. is dharti pr rahne vale pratyek manushya ko uspr saman adhikar hai. sabhi vyaktiyon ko jine ke liye sadhanon ki avshyakta hoti hai, kintu kuch shaktishali log samanya logon ke liye un suvidhaon ko  uplabdh nahi hone dete hain. is prakar ve manavta ke vikas me badhak bante hain. jb tk sab manushyon mein sukh ka nyaypurna tarike se vitaran nahi hoga tb tk is dharti pr shanti sthapit nahi ho skti hai. isliye tab tk sangharsh chalta rahega.

                bheeshm pitamah ke maadhyam se kavi kahte hain ki manushya niji shankaon se grast, svarthi hokar bhog mein lipt ho gaya hai, vah keval apne sanchay mein laga hua hai. kavi kahte hain ki ishwar ne hamari dharti par hamari avshyakta se adhik sukh bikher rakha hai. sb manushya milkar uska saman bhav se bhog kar skte hain. svarth ko tyag, sukh samruddhi pr sbka adhikar samajhte hue, use sabhi ko saman bhav se baantkar ham dharti ko pal bhar mein svarg bana skte hain.


Answered by itzshivam15
0

Answer:

प्रस्तुत अंश दिनकर जी की प्रसिद्ध रचना‘कुरुक्षेत्र’ से लिया गया है। महाभारत युद्ध के उपरांत धर्मराज युधिष्ठिर भीष्म पितामह के पास जाते हैं। वहाँ भीष्म पितामह उन्हें उपदेश देते हैं। यह भीष्म पितामह का युधिष्ठिर को दिया गया अंतिम उपदेश है। 40 के दशक में लिखी गई इस कविता के माध्यम से कवि भारत देश की सामाजिक दशा, उसके विकास में उपस्थित बाधाओं और उसमें परिवर्तन कर उसे स्वर्ग समान बनाने की बात करते हैं।

Explanation:

hope it helps you

Similar questions