Meerabai ke koi bhi 5 dohe with meaning in hindi.
Answers
Meerabai ke dohe :
1. taat maat bhrat bandhu apno na koi
chadi dai kulki kaani kah karihai koi
meaning - mere na pita hain na mata, na hi koi bhai bandhu. maine sare kul ko chod diya hai.
2. mere to Giridhar gopal dusro na koi
jake sir mor mukut mero pati soi
meaning - sirf parvat ko apni ungli pra uthane vale shree krishna ji, jinhen Giridhar gopal khte hain, mere hain. unke atirikt main kisi ko apna nahi manti. jinke sir pr mor mukut hai ve hi mere pati hain.
3. payo ji maine ram ratan dhan payo..
vastu amolik di mere sadguru kirpa kari apnayo. payo ji maine ..
janam janam ki punji payi jag mein sabhi khovayo. payo ji maine ..
kharchai na khute chor na loote din din badhat savayo. payo ji maine ..
sat ki naav kevatiya satguru bhavsagar tar aayo. payo ji maine ..
Meera ke prabhu Giridhar naagar harash harash jas gayo. payo ji maine ..
meaning - maine ram naam ka alaukik dhan prapt kar liya hai. mere guru ji ki krupa se mujhe ye anmol dhan mila hai. ise pakar maine kai janmon ka dhan paa liya hai. ye aisa dhan hai jo kharcha krne se kam nahi hoga aur jise koi chor bhi nahi loot skta hai. yah to din pr din badhta ja raha hai. ye ek naav hai jiske kevat satguru hain jo hamen bhavsagar se paar utaar degi. main ullas ke sath apne prabhu Giridhar naagar ka gun gaan karti hoon.
4. matvaro baadal aaye re
hari ko sandeso kachhu laye re
dadur mor papiha bole
koyel sabad sunave re
kaali andhiyari bijli chamke
birhina ati tarpaye re
man re parsi hari ke charan
listen to man re parsi hari ke charan
meaning - badal garaj garaj kar aa rahe hain lekin hari ka koi sandesha nahi laye. varsha ritu mein mor ne bhi pankh faila liye hain aur koyel bhi madhur aavaz mein gaa rahi hai. kaale badlon ki andhiyare mein bijli ki aavaz se dil rona chahta hai. virah ki aag badha rah hai. man hari ke darsan ke liye pyasa hai.
5. mahro supnama panri dinanath
chhappan kota jana padhariya dulho shri brijnath
supnama toran bandhya ri supnama gaya hath
supnama mahro paran gaya paya achal suhaag
Meera ro Giridhar ni pyari purab janam ro haad
meaning - mere spne mein Shri Krishna ji dulhe raja bankar aaye. spne mein toran bandha tha jise dinanath ne apne hathon se toda. spne mein maine unke charan chhuye aur suhaagan bani. ye mera Giridhar Naagar ji ke sath purva janam ka koi prem ka bandhan hai.