Hindi, asked by angallasucharitha312, 8 months ago

नेता तथा आज के नेता तथा भावी नेता के बारे में एक अपने विचार प्रकट कीजिए give me some ideas no like just a brief about what to write in kal Aaj and bhavi​

Answers

Answered by pathakshobha300033
0

Answer:Neta iska arth netritwa krne wala hota h agr neta netritwa hi na kr paye to use neta nahi kahna chahiye pahle ke bahut se achhe or mahan neta rahe h jaise sardar vallabh bhai patel ji , gandhi ji or humare desh ke mahan neta netaji shubhas chandra bose ji mujhe pahle ke neta me sabse prbhawi neta ji bose lgte the kyu ki aajadi ki ladai to sb ne ladi lekin bhart se bahar videsh me rah kr aajadi ki ladai ladna apne aap me ek mishal h jb wo bhart se akele pardesh jaa kr ek ek bhartiy ko ikattha kr unke sine me apne matri bhumi apne desh ke prti unke dilo me aag laga kr un logo ko aajadi ka sapna dikhaya or aazad hind foj ki sthapna ki .

Aajh ke neta - agr hum aajh ek aadrsh neta ki baat kare to bahut hi mushkil se kisi ka naam mil paayega kyu ki aajh kal hr neta bs apni jeb bharne me lage h aajh bs har insan neta is liye nahi banana chahta h ki wo desh ki sewa kr sake balki is liye banta h kyu ki wo pad or paisa paa sake ab ke jamane me har neta bs apne pad ka durupyog hi kr raha h.

Bhawishya ke neta - humare bhawishya me ese neta hone chahiye jo baki desho se upar uth kr humre desh ko aage badhaye rojgar ke naye naye srot laaye or swadeshi saman ho taki bharat ka paisa bhart me hi rahe .

Explanation:

Similar questions