Hindi, asked by nitimonidey48, 8 months ago

नवाबो में एक विशेष प्रकार की नफासत और नज़ाकत देखने को मिलती है | लखनवी अंदाज पाठ के आधार पर स्पष्ट कीजिए।​

Answers

Answered by vanshikanalwa
3

Answer:

navaabo mai ek vishesh prakaar ki nafaasat aur nazaakat hoti hai. paath "lakhnavi andaaz" mai lekhak yashpaal ne yeh bhali bhaanti iska shabd chitra prastut kiya h. paath mai jab lekhak ek train ke dibbe ko nirjan samajh kar chadh jata h , tab use vaha ek lakhnavi khandani raees kism ka navaab dikhta h , jo lekhak ki upastithi se khushi ka bhaav prakat nhi karta. kuchh der baad navaab apne saamne pade kheero ko pairo ke paas pade paani ke lote se dhota h, usko toliye se saaf karta h, kat kar uski jhaag nikalta h tatha bariki se chhelkar uski faanke banata h. fir veh apni jeb se kali mirch mila namak nikaal kar un kheero ki faanko par burakta h.

navaab un kheero ki faako ko ek ek kar apne naak ke paas lakar sunghta h , tatha tript hokar ek ek faank ko khidki se bahar fekta jaata h.

kheere ko khane yogya banane ke jatna se veh thakkar late jaata h. isse lekhak ne uski khandani raeesi tatha nazaak aur nafaasat par vyangya kiya h .

HOPE IT HELPS

MARK AS BRAINLIEST......

Similar questions