Hindi, asked by chinmeyswami, 1 year ago

Nibhand on hamare buzurg hamari dharohar in hindi

Answers

Answered by aparnachandel
35
bhartyia sanskriti hamesha is baat par joor deti rahi hai ki hum apno bado ka aadar karein, tatha unki dekhbhaal karein. hamare bado aru buzurgon ka aashirvaad hamare upar bana rahe yeh bahut aavashyak hai. ve hamari dharohar hain. jo hamare jivan ke har pal mein margdarshan karte hain.parantu samay badal raha hai. aaj kal ki yuva pidhi is prakar ke aashirvad aur zimmedari ko ladkar nahi rakhna chahti. veh azadi bhara jivan bitana chahti hai bina kisi rok tok k. hum yeh bhool jate hain ki agar hamare bade buzurg nahi to hamara astitva hi nahi hota, hamari padhai likhai nahi hoti. hum apne bade budhon ko budhape ki maar akele jhelne ke liye chod dete hain. hum yeh nahi sochte ki agar hum badon ke anubhav ko saath le to kahan se kahan pahut sakte hain. unhe jivan ka itna anubhav hota hai ki ve har stithi ko bhaap jate hain.

Hope it helps plzzz...........mark it as brainliest...........
Similar questions