पुरइन पात का kya arth hai aur yeh kiske sandharbh me prayukt hua hai
Answers
Answer:
पूरइन पात का अर्थ है कमल का पता
yah gopiyon ne Uddhav per vyang kiya tha, jab Shri Krishna Mathura chale gaye the aur sandesh gopiyo Tak pahunchane ke liye Apne Mitr Uddhav ko gopiyon ke pass bheja. jab gopiyon ko unka sandesh pasand nahin aaya to unhone Uddhav ko Kamal ke Pate ka udaharan dete hue vyang badh chhode. unhone bola - hay Uddhav! tum bahut bhagyashali ho Jo Prem ke Bandhan se dur rahte ho. tumhara man kisi ke Prem mein nahin duba hai. Tumhare man mein kisi ke prati Prem ki Bhavna nahi hai. tum ne to uss isneh ke dhaage ko kabhi chhua Tak nahin hai. uske Bandhan se Tum alag hi rahe ho isliye tumhara man kisi ke Prem mein anurakt hi nahin hua.
jis prakar Kamal ki pattiya jal ke paas hote hue bhi unse dur rahti hai aur jal ka ek bhi Boond UN par nahin thaharti hai jis prakar tel ki mataki Ko jal mein bhigone se uske upar jal ki ek bhi Boond nahin thaharti hai. usi prakar Tumhare upar bhi Krishna ke roop aakarshan ka koi prabhav nahin padta hai. jabki tum to unke atyant nikat Ho.
Explanation:
maine explain kar diya hai agar aapko fir bhi samajh Na aaye to maine upar photo bhi send ki hai aap usmein se padh sakte hain.
Thankyou!
Answer:
kamal ka patta
Explanation:
leaf of lotus flower
THANKS