Hindi, asked by Chetan000, 9 months ago

padhne Likhne Mein Satish ki Ruchi kam hone se chintit maa baap ke beech samvad ya vartalap likhiye​

Answers

Answered by salmaanhussaini
1

Answer:

maa:kyon,parents teachers meeting khatam ho gayi?

baap:han khatam to ho gayi magar.....

maa:magar kya?

baap:magar ye ke satish ke marks waise nahi hain jaise hone chahiye.

maa:padhta to hai.

baap:tum ye batao wo is samay kya kar raha hai?

maa:shayed apne kamre mein hai.

baap:wahan kya kar raha hai?

maa:mobile dekh raha hoga.

baap:ye mobile ne hi to use bigada hai.

maa:tum hi ne to use birthday gift diya tha.

baap:han diya to tha lekin mujhe ye nahi pata tha ki uska ye parinaam hoga.

maa:pyar mein use mobile tum ne hi diya hai isliye use jaake tumhen hi samjhana padega ki uska kab prayog kiya jata hai aur kab nahi.

Explanation:

Similar questions