Hindi, asked by sunitaray876, 10 months ago

पक्षी हमारे लिए क्यों आवश्यक है​

Answers

Answered by twinklesapra70
1

Answer: Bagula, hans, battakh jaise pakshi paani me tairte hai aur machliyon ka bhojan karte hai. Saaras pakshi pravasi pakshi hai jo mausam ke anusaar palayan karta hai. Pakshi aasman me udte bhi hai, jameen par daudte bhi hai aur jal par tairte bhi hai. Pakshi kisi rashtra ki pehchan bhi hote hai. Bharat ka rashtriya pakshi mor hai. New Zealand ka rashtriya pakshi kiwi hai. Kuch pakshi kisi khaas desh me hote hai. Jaise kiwi pakshi kewal New Zealand me hi paaya jata hai.

Insaan ne sarhade baanti hui hai lekin pakshiyo ke liye koi sarhad nahi hai. Pakshi duniya ke kisi bhi desh me bina ijazat jaa sakte hai. Yeh puri duniya unki hai. Manushya apne lalach me pedon ko kaat raha hai. Ped pakshiyon ka aavas hai. Yeh hamara dayitv hai ki hum pakshiyo ke aavas ki raksha kare. Kayi pakshi durlabh ha jo vilupt hote ja rahe hai.

Pakshi dharti par jeevan ke liye jaruri hai. Sochiye agar pakshi duniya me na ho to duniya kaisi hogi.

HOPE IT HELPS!!!

PLEASE MARK ME AS THE BRAINLIEST!!!

Similar questions