Hindi, asked by MTa2nriyaffddemysk, 1 year ago

Pariksha ka pehla Din nibandh in Hindi

Answers

Answered by monu7bishnoi
7

Pariksha ka pehla Din

 

10th Baord ki pariksha ka pahla din tha .Bahut se  chaatra lagbhag samay par pahuch gye the Pariksha Kendra par . Jo ki Humaare School se 5 KM doori par tha. Jaisa ki sab jaante hai  har school ka pariksha Kendra doosri school mai aata hai . Ek nispakh aur achhi pariksha ke liye  ye jaruri bhi hai. Maine dekha ki kuch chaatra abhi nhi aaye hai .Unke sahpaathi unko phone kr ke pooch rhe hai ki kaha ho ?  Hindi ki pariksha thi. Humaare Hindi ke adhyapak Ganesh ji Pandey bhi kendra par aaye the sabka manobal badhane ke liye . Unhone kaha ki bhasha ki truti naa kre.  Bola ki samay ka dhyaan rakhe aur sabhi sawal hal krne ki kosis kre . Phir wo chale gye humari school . Kuch chaatra Pravesh Patra ghar hi bhool aaye hadbadi mai . Dost ki sahayta se phone kr ke apne parijano se manga rhe the . Ant main ghati baji . Sab bahar lage board par apne roll number ke anusaar Kamara  pata krne lage . mera Kamra no.. 8  tha . School bahut badi thi  aur saamne khel ka maidaan bhi tha . 15 Minutes baad ek aur ghanti baji aur sab ko Pariksha ka Prashan ptra de diya gya . Maine bhi Utar pustika mai apni jaankaari ankit kr di aur sawal hal krne laga. 30 Minutes baad bahu uttar wala bhag wapas le liya gya . maine sabhi  sawal hal kr diye the  . Umeed thi ki 80 % ank to aa hi jaayenge . Phir Mukhya Prashan Patra hal krna suru kiya . Kuch vidhyarthi chintit lag rhe the aur kuch bahut utsaahit dikh rhe the . Maine bhi poora prashan patra padh kar uttar likhne suru kiye . maine  Nibandh , Prathna Patra aur Anulom aur vilom wale sawal hal kr diye . 1 ghante baad ek aur ghanti baji . Hum samaj gye ki aadha samay jaa chukka hai . Maine fatafat uttar likhne suru kiye . ant mai  10 minute shes wali ghati baji . maine sabhi uttar punh dekhe aur sahayak uttar pustika salgn kr di . Kuch vidhyarthiyo ne 3-3 sahayak uttar pustika li . Jab mukhya uttar pustika mai uttar likhne ke liye kam panne bachhe to sahayak uttar pustika lene ka pravdhaan hota hai .

Anta mai sabne apni uttar pustika Pariksha Nirikshak ko jama karwa di . isi beech mai Nakal Khoji Dasta bhi aaya tha . Bahut se chhatra hadbada gye the . Wo log nakal rokne aur nakalchiyo ko pakadne ke liye aaye the . Lekin kuch bhi sandehaspadak nhi mila . Sab ne chain ki swansh li . Pariksha ka Pahala din Achha tha . aage ganit ki pariksha thi 2 din baad .

Answered by naishakhurana2019064
0

Answer:free pohdhejkfdbjehdnmskjwernfcj

Explanation:

Similar questions