pashuraam ke prati lakshman me vyavhar pr apne vichaar likhye
Answers
Answer:
Parshuram ji ram ji ke dhanush todne per Sri janak ji ke darbar me krodh se aate hain aur puchhte hain ki shivji ka dhanush todne ki aur uski pratyancha chadhane ka dushsahas kisne kiya?. Mai use mritu dand dunga....
Tabhi apne Sri ram bhaiya ke prati aise kathor vachan sunker Sri lakshma ji krodh me aakar parshuram ji ka krodh aur badhane ke uddeshya se ye kahte hain ki are aise dhanush to bal samay me Humne bahut se tode hain. Aur fir bhi ye to kuchh bhi nai, bhaiya ram ne to ise matra chhua hi tha aur ye tut gaya qki ye bahut purana malum padta hai.
Lakshman ji aisi baatein sunker parshuram ji aur krodhit ho jate hain aur kahte hain ki balak tu ab aur mera krodh n badha. Warna mera parshu tera vinash ka karan ban jaega tabhi apni prashansha karte hue parshuram ji lamshm ji ko lalkarte hain. Parshuram ji ki aisi baare sunker lakshman ji kahte hain Haa jo veer hote hain wo yudh karte hain. Bas apni prashansha me samay nai gawate.... Tabhi prabhu Sri ram ji..... Lakshman ji shant karte hue parshuram ji se kahte hain ki mai aapka apradhi hu. Maine hi dhanush ki pratyancha chdhai thi. Aap jo uchit lage aisa dand de. Aur Sri ram me parshuram ji ko bhagwan ke darshan hote hai aur unka krodh shant ho jata hai.
Parshuram ji Sri ram ji se chhama mangte hai aur Pranam karke waha se chale jate hain.