Hindi, asked by adityaagg, 1 year ago

path 6 bhagwan ke dakiye (vasant class 8)
uddeshya

Answers

Answered by RehanAhmadXLX
20
Iss kavita main pakshiyon aur badlon ki baat ki gayi hai jo bhagwan ke dakiye hai. Jis prakar dakiye sandesh lane ka kaam karte hai, usi prakar pakshi aur badal bhagwan ka sandesh lekar aate hai. unke laye gaye sandesh ham bhale hi na samajh nhi pate hai, magar vriksh, podhe, paani aur pahar use samajh lete hai. Veh ek desh se doosre desh ko jate hai aur apna sandesh dete hai. Veh prem, sadbhav aur ekta ki bhavna ka prasar karte hai. Ham toh yahi anuman lagate hai ki hava main urte huye yeh pakshi aur badal apne sath prem-pyar ki sugandh ek desh se doosre desh tak pahunchate hai. Prakriti kisi bhi desh se bhed-bhav nhi karti. ek desh main jab bhap udkar badalka roop leta hai tab veh doosre desh main jakar varsha ke roop main barasta hai.

adityaagg: thank you.... Rehan Ahmad
Similar questions