please make a story and give title and give moral
Attachments:
Answers
Answered by
0
Ek bahut bada jungle tha. Us jungle ka raja sher bahut hi gusse wala or takatwar tha. Wah gussail to tha par sath m usme daya bhi thi. Ek din wah ped k niche so rha tha. Tabhi waha se chuho ki ek jhund jane lagi. Chuho ki jhund masti karte hue sher k upar ja pahuchi aur usme daudne lagi. Sher jag gaya. Baki sab chuhe to bhag gae par ek chuhe ko sher ne pakad liya. Sher bahut hi gusse me tha. Use dekhkar chuha dar k mare rone laga. Usne sher se daya ki bheekh mangi. Sher ko daya aa gai. Usne chuhe ko chhod diya. Chuhe ne use sukriya kha or zarurat padne par usne sher ki madad karne ka wada kiya. Sher ne socha ki ye chota sa janwar uski kya madad karega or wah hasne laga.
Kuch din bad jungle m shikari aae. Unhone kai jagah par jal bichaya. Sher ek jal m fas gaya. Wah jor jor se dahadne laga. Tabhi waha se wah chuha guzar rha tha. Usne sher ko jal m fase dekhkar turant uske pas gya or apne nukile daant se jal ko kutar kr sher ko jal se azad kr diya. Sher ne usko chota samajne ki galti k liye mafi mangi or use sukriya kaha.
Moral:- Kabhi kisi ko chhota nhi samajna chahiye
OR
Kabhi kisi ko chota samaj kr uspar hasna nahi chahiye.
Title:- Sher or chuha
Or
Kabhi kisi ko chota na samjo.

Similar questions
English,
8 months ago
English,
8 months ago
Computer Science,
8 months ago
Social Sciences,
1 year ago
Math,
1 year ago
English,
1 year ago
Science,
1 year ago