please someone answer this
Answers
1. Boond ko yah chinta sata rahi hai ki kahi uska astitva samapt na ho jaye. Use lag raha ki kahi wo angaro mein gir jayegi, dhool mein mil jayegi aadi
2. Boond ki sthiti mein yah parivartan aayi ki jo wah soch rahi thi uske bilkul viprit hua uske sath. Vah vyarth ki chinta mein padi hui thi.
3. Jab vah soch mein padi thi tab hi ek tez hava ka jhonka aaya jis karan wah samandar mein ek khule munh ke seep mein ja giri aur moti ban gayi.
4. Badlon ki god se nikli hui boond aur ghar chodne wale vyakti mein yahi samanta hai ki aarambh mein dono ko vyarth ki chinta satate rehti hai. Unhe lagta hai ki kahi wah asaphal hue ya unka astitva sankat mein pad jaye to kya hoga. Kintu dheere-dheere ve paristhiti ke sath rehna seekh hi lete hai.
5. Yah kavita hame yah prerna deti hai ki kabhi viprit paristhitiyon se ghabrana nahi chahiye. Bhavishya ko lekar chintit nahi hona chahiye kyonki jo hamare sath hota hai wah hamare karmon ke karan hi hai.
Thank you!