Hindi, asked by Anumeadalpartga, 1 year ago

plz mujhe 'pani ki samasya'par letter cha hi aye......plz soon.

Answers

Answered by monu7bishnoi
1

Jaisa ki bataya nhi gya hai ki parta kisko likhna hai . atav main savayam ko gaon ka vidhyarthi samj ke sarpanch ko Pani ki samshya par parta  likhta hu .

 

Shri Harilal ji Solanki ,

Sarpanch – Gaon Bhed

Panchaayat Osiyaan

Jila- Jodhpur – Rajasthan

 

Vishay: Gaon mai badhte jal sankat ke babat.

 

Mahodyaa,

Sarpanch ji , jaisa ki aapko pata hai hamara  gaon peechle kuch maheeno se paani ki killat ko jhel rha hai . Apko to gyaat hi hoga ki Nahar ka Paani bhi  nhi chhoda gya apne gaon ke liye . Tanker maafiyo ne gaonwalo ko unnche daam par paani ke tanker bechne suru kr diye hai . Gaon walo  ko bhi majbooran unse khareedna pad raha hai kyuki koi chara nhi hai dusra .paltu jaanwaro jaise Gai , Bail aur bakariyo k liye bhi nadi mai paani kam hi raha hai. Agar samay rahte koi sudradh aur sunishchit upaay nhi nikala gya to bahut badi musibaat ho jaayegi . Apse aagrah hai  ki samay poravak Ap jila adhikaari se baat kr ke gaon walo ke ki peene aur anya gharelu kaamo ke liye paani ka paryaapt intjaam  kare jab tak ki monsopon naa aaye aur baarish bhi naa ho .

 

Rakesh Gosawami

Class -10

RMV -Bhed

Similar questions