poem mere sapno ka bharat...
Answers
Answered by
1
Aazadi ke saal huye kayi,
par kya humne paaya hai.
socha tha kya hoga lekin,
saamne par kya aaya hai.
RamRajya-sa desh ho apana
baapu ka tha sapana,
Chacha bole aage badh kar
kar lo sab ko apanaa.
Aazadi fir chhine na apani
diya Shashtri ne naara,
Jai-Jaikaar Kisan ki apani
Jai Jawaan humara.
Socho inke sapano ko hum
kaise saakaar karenge,
Bharashtachar hata denge hum
aage tabhi badhenge.
Mushkil nahi pura karna
in sapano ka Bharat,
apane andar ki shakti ko
karo agar tum jaagrat.
Aao milkar kasam ye khaayein,
aisa sabhi karenge,
shikshit ho agar har bachcha,
unnati tabhi hum karenge.
par kya humne paaya hai.
socha tha kya hoga lekin,
saamne par kya aaya hai.
RamRajya-sa desh ho apana
baapu ka tha sapana,
Chacha bole aage badh kar
kar lo sab ko apanaa.
Aazadi fir chhine na apani
diya Shashtri ne naara,
Jai-Jaikaar Kisan ki apani
Jai Jawaan humara.
Socho inke sapano ko hum
kaise saakaar karenge,
Bharashtachar hata denge hum
aage tabhi badhenge.
Mushkil nahi pura karna
in sapano ka Bharat,
apane andar ki shakti ko
karo agar tum jaagrat.
Aao milkar kasam ye khaayein,
aisa sabhi karenge,
shikshit ho agar har bachcha,
unnati tabhi hum karenge.
Similar questions