English, asked by ahan9aanchauh, 1 year ago

poem on basant panchmi

Answers

Answered by Anonymous
2
Ayee re basant panchmi

Aasmaan mein udi patang.
dhaage ka pakada sang.
tej hawa ka kaam nahi.
shaant hawaa mein bahi rahi.
dhimi mand nahi tej.
taaron tak dije bhej.
chaand ki laaye khabar.
Sardi ko dedo vidaayi,
basant ki hai ritu aayi.
hawa saurabh lekar aayi,
phulon ne jise lutaayi.
baagon mein bahaar hai,
bhaunron ki gunjar hai.
titli ki bharmaar hai.
udi-udi re udi patang,
dekho baadlon ke sang.
hawa ke sang baatein karti,
unchaayion se kabhi na darti.
dhili chhodoge jab dor,
door hoti jaaye ye aur.
sundar si iski puchhal,
kya khoob khaati hai bal.
Jab patang hai pench ladaati,
ek kate, ek jhat mud aati.
lutane ko bachche betaab,
pichhe daude behisaab.
Mere Bhramar man,
Ritu basant ka aagman;
Kuch is tarah se ho gaya,
Na khile madhufool vitap mein,
Tu bina madhu ke jagat mein rah gaya;
Na Khili sarson
ye panchhi anmane se dekhkar bagiya;
ki isme thi bahi aisi hawaa,
khushbu bikhere jo chaman mein;
neembuon ki manjari se
Gungunata woh bhramar;
Lag raha jaise subah ka devta ho.

Anonymous: thanks
Anonymous: ok
Answered by Anonymous
1
Sardi ko dedo vidaayi,
basant ki hai ritu aayi.
hawa saurabh lekar aayi,
phulon ne jise lutaayi.
baagon mein bahaar hai,
bhaunron ki gunjar hai.
titli ki bharmaar hai.
Similar questions