English, asked by Anonymous, 3 months ago

pollution problem 100 word's essay but in hindi don't spam​

Answers

Answered by Enrique001
0

PLEASE LIKE AND FOLLOW...

Answer:

Hum aaj ek aadhunik yug me rehte hai, humme yaha tak pahunchne ke liye kayi kathin nirnaya liye aur isske kayi dushprabhaav hamari dharti parr pade. hum iss nibandh me inn dushprabhavo ke hee baare me jaanenge avam unke upaay dhoodenge.

Aaj ke samay me sabse jyada dushprbhaav pradushan se hamare vaayukaksha parr padd raha hai. aaj ke yug me tel aur koyle se chalne waale kaarkhaane, kalyantra evam gaadiyo se nikalne waale zehrili aur nuksaandehak gaiso se hume evam humare jalvaayu ko bahut nuksaan pahunch raha hai. isske karan saans se sambandhith rog ho sakte hai. vaayu pradushan ke karan dharti ke aam taapman me bhi vriddhi ho rahi hai, jiske kai prabhavo me baadh bhi aata hai.

jalvaayu pradushan ke alawa bhoomi pradooshan, dhwani pradushan, paramanu vikiran dwara hua pradushan aadi bhi mukhya pradushano me se kuch hai.

agar hume apni dharti par jeevan ko bachaaye rakhna hai toh hume kuch kade nirnaya lene padenge. sabse pehle hume kaarkhaano ko kam karna hoga, unke dwara pradushan mukhya roop se yogdaan hai. hume paaryavaran ko kam dooshit karne waale waahano ka upyog karna chahiye.isse pradushan kaafi kam ho jaaega.

tabhi hum aage ki pidhiyo ke liye sansadhano ko sanjo kar rakhna chahiye aur jeevan ko kayam rakne me safal ho sakenge.

Hope this essay helps you, please like and follow for more answers.

Answered by ITzLoverKing
4

Answer:

sorry sorry sorry sorry sorry sorry sorry sorry soory

Similar questions