poverty is a curse on humanity explain
Answers
Poverty is a Curse on Humanity
Agar hindi mai kahe to kaha jata hai ki garibi ek abhishaap hai . Koi garib nhi hona chhata . Garibi ka hal isi baat maihi hai. Agar garib nhi rahana hai to kuch krna hoga . Saral sa jawab hai . bhawaan ne sabko saman saktiya di hai . hum kis prakaar se unka sadupiyog krte hue garibi ko hara sakte hai .hazaro udaaran hia jaha log apne dum par bina haar mane garibi ke nikal kar desh videhs mai naam roshan kiya hai . Purav rastrapati APJ abdul kalam ji se lakar irfaan pathaan ho yaa Mumbai ki chaul mai rahen wale gayak abhijeet sawanat se Mary kom tak ne garibi ko apne dum par haraya hai .sab mai ke hi baat samanay hai ki unhone apni shakti aur aatmbal ko pahchana . bina dar lagataar bharkas pryaas kiya .ant mai wo hi safal hue . Garib paida hona kismet hai par garib mar jana bevkoofi hai . prarkit hum sab ko samna avsar deti hai. Jo khud apni kaabiliyat pehchaan leta hai wo vijay path par aage badh jata hai bina kisi abhavo ka rona roye .Sarkaar pichle 65 saalo se bharkas prayas kr rahi hai . na jaane kisi yojnaaye suru ki lekin kaagjo mai rah gyi yaa log bhool gye . 65 saal baad agar hum ye kahe ki desh mai pais eki kami ne sab ko garib rakha hai . 40% log garibi rekha se neeche hai aaj bji . kuch sochne wali baat hai . Akhir ais akya hai aur kya hua ki abhi bhi garibi ka vinaash nhi hua . Kaarn hum khud hi hai .Agar hum apna neta hi achha nhi chunege to samaj aur sahar ka bhala kaise hoga . Jail mai baitha aadmi chunav jeet jata hai . Vote to janata hi krti hai . hamre pass garibi se ladne ke liye sab hathiyaar hai , Chlaana humko hi hai .Right to Education ho ya Right to Information sab humaare pass hai . humehi sahi dhag se prayg mai lane hai .Agar hum hi apni jimmedaari nhi samjhege to pariwar aur desh garib rahegaa hi .Sab soch au rsamj ka farak hai . Achhi sikha ked um par sachhyi ko jana jaa sakta hai . phir hume ye samjne mai der nhi lagegi ki hum karam se garib hai yaa vichaaor se garib hai .Jansankhya vardi aur bhrsatachaar ko kaabu mai kr k hum samridi ki rah par chal sakte hai .Phir hume ye samjne mai der nhi lagegi ki garibi maansik samshya jjayda hai saaririk aur bhoutik nhi . Garibi se nafraat kr ehum , garib se nhi . sabko saman avsar de . Parinaam avashya saamne aayega.