prakarti saundara par nibandh
Answers
Answered by
0
prakriti eshwar ki di hui anupam bhet hai. es den k sahare hi manushaya apna aastitva iss dharti par bna paya hai. prakriti ka roop manushya dwara nhi banaya gaya hai parantu wah swayam hi pal pal manushya ko apne saundarya se mohit karti aai hai. prakriti k vividh roop vishwa k kone kone me bikhre pade hai. iske upadan vriksh, jharne, pahad, badal, mausam, pasu-pakshi, hariyali, nadi samudra ityadi hai. inke karan hi iski chata har jagah alag alag aur abhootpurva hoti hai. yadi yh nhi ho to manushaya jeevan ko ji hi nhi skta hai. prakriti hamare jeevan ko kai roopo se sawarti aur hamara palan poshan karti hai. kaviyon ne prakriti k iss saundarya ko apni rachnao se aavashyak esthaan diya hai.
Similar questions
Math,
8 months ago
Biology,
8 months ago
Accountancy,
8 months ago
Social Sciences,
1 year ago
Chemistry,
1 year ago
Social Sciences,
1 year ago
Hindi,
1 year ago