Quotation for dhaish kai praithe Maria yogdyaan
Answers
Answered by
0
Is desh ne humein bohot kuch diya hai.Ab waqt aa gya hai ki hum bhi is desh ko apna yogdaan dein.Hum is desh ke yuva hain.Wo yuva jo ek desh ka nirman karta hai aur us desh ka naam saare vishva main aage badhata hai.Sirf videsh ghoom aana desh ke liye yogdaan nhi balki is desh ki vartamaan main jo dikkaton hain unhe door kerne se hoga.Yadi hamare paas itna dhaan hai jo hamari zarurat ke liye kaafi hai to humein desh ke zaruratmandon ki madad kerni chahiye.Yadi hum padhe likhe hain to gaon main jaaker kisi gareeb parivaar ke bacchon ko padhayein.Yadi hamare pass achi naukri hai to hum kisi gareeb berozgaar vyakti ko achi naukri dila sakte hain.Is tarah hum desh ki kayi badi samasyaon ko apni shramta ke anusaar kam ker sakte hain.Yahi hamara yogdaan hoga apne desh ke liye.
Similar questions