Hindi, asked by Shakti5737, 1 year ago

Ravan ne sita ka haran kis prakaar kiya

Answers

Answered by Nidhiyadav917
0
Ravan be sadhu ka vash dharan karke sita ka haran kiya
Answered by yogita9911
5
Usne pehle to ram se chhal kiya apne sevak marich ko kehkar aek mayavi sundar sone ka hiran banne ko kaha uske bad usne sita ka dhyan bhatkaya to sita ne ram se use laane ko kaha to ram uske pichhe chale gaye. Ram ne lakshman ko sita ki suraksha ki jimmedari di thi. Thodi der baad us mayavi heeran ne ram ke aawaz me chillana shuru kr diya. ye sunkar sita ne turant lakshman ko unko bachane ke liye bheja to lakshman ji ne ye kaha ki ve unhe chhodkar nhi ja sakte kyunki unhe ram ji ne sita ki suraksha ki jimmedari di thi. Tab sita ji ne unhe bura bhala kaha ye sunkar lakshman ji ram ji ke pas gye lekin sita ji ke las unhone aek lakshman rekha khichi thi jise paar karne ke liy lakshman ji ne unhe mana kiya tha. Phir vo chle gye. Uske thodi hi der bad ravan sadhu ka vesh banakar sita ji ke pas bhiksha màngne aaya. To sita ji ne unhe apni kutiya se hi bhiksha di lekin sadhu ne inkar kr diya. Sadhu ne sita ko kaha ki vo bhiksha kutiya ke bahar aakar de. Sita ji jab kutiya se bahar aa rahi thi tab unhe lakshman ki khichi hui rekha yaad aai to unhone sadhu ko mana kr diya. Tab sadhu ne kaha ki vo kutiya se bhiksha nhi lenge vo unhe bhiksha bahar aakar de ya to fir khali haath chale jaye. To sita ji ne lakshman rekha paar kar di phir ravan apne asli roop me aa gay phir vo sita ka haran kar ke apni lanka ki aur chala gaya.
please mark my answer as brainliest.
Similar questions