सूखे की इस्थिति की महत्व पर 250-300 सब्दो में संपादकीय लिखिए
Answers
सूखे की इस्थिति की महत्व
Sookhe ki isthiti ko jaanna aur pahle se bhaapne jabhut jaruri hai au rye hi baat sookhe ke mahatav ki hai . Agarahum ye dekhne lage ki ped sookh rhe hai , patte jhad rhe hai , kuo aur talabo mai paani ka istar gir raha hai . samanay jeevan mai paani ki killat ho rahi hai to hume pahle jaan lena chahiye ki shookh ke haalat hai aur age isthiti aur bhi buri ho sakti hai . samay rahte nipatna hi thik rahata hai . Baar baar safal ki paidawar mai kami . mitti ka upjaau pan ghat te rahna batata hai ki mitti mai ab nami ki kami hai aur hume kuch prabandh krna chahiye . Haar saal sukha aane se mahabaari aur akaal failne ye asaar badh jaate hai . Sarkaar , gram panchayat aur mukhiya ko gaon ke logo se humesha milte rahna chahiye au ristithi ka jaayja lete rahna chahiye .Chahe gaon ho yaa sahar aajkal sookhe ke asar se koi achoota nhi hai . Dono jagah jal sankat rahata hai . Ant mai desh ki paidawaar aur udhyogik utpadan par prabhav padta hai .Sabse pahle hume ped lagane chahiye jo ki humaari sab se jayd amadad krte hai . wo chav bhi dete hai , mitti ki name ko barkarar rakhte hai aur barish ki bhi sambhavna badhate hai . Hume bhi apni jimmedaari nibhate hue paani barbaad nhi krna chahiye . Sadaiv sadupyog hi krna chahiye . Bachho ko bhi jal ka mahatav sekhaaye aur hum bhi vayarth hi iss amulya cheej ko barbaad naa kre .Sarkaar ko bhi sookhe se nipatne hetu aapaatkaalin upaay teyaar rakhne chahiye jaise ki Neer Train yaa pani ke tankar humesha teyaar rakhe. Aajaad bharat mai koi [paani ki kami se naa mare kabhi. Har bharatiya sookhe ki mahamaari se nipatne hetu kisaan aur uskle pariwaar ki madad kre. Wo hi aandata hai sabka kyuki sab log noukari krenge to anaaj kon paida krega.Ameer ho y agareb bhookh dono ko hi lagti hai . Talab aur naidiyo ka sarakshan kre aur adhik se adhik ped laga kr hum sookhe ki istithi se nipat sakte hai . Desh mai jal marg banaye aur baadh ki issithit jaha bhi ho uska pani sookhe ilako ki taraf mode to humaari sachhi jeet hogi !!