सीर आखो पर रखना. Frame a sentence
मात देना
मुह लटकाना
ढूढ़ का ढूढ़ पानी का पानी करना
दरार पढना
अनाप शनाप बोलना
Answers
sir aakhon par rakhna = swarn padak jeet kar aane par mere gaaon ke logon ne mujhe sir aankhon par baitha liya.
maat dena= jeene ki dridh ichchhashakti hi thi ki wah maut ko bhi maat de aaya.
mooh latkana= dost ka mooh latkana yah sanket kar raha tha ki wah kisi kaaran se udaas hai.
doodh ka doodh paani ka paani karna=adaalat mein kuch saboot dikha kar pal bhar mein vakeel sahab ne sab doodh ka doodh aur paani ka paani kar diya'
daraar padna= rupay -paison ka len-den kai baar sambandhon mei daraar padne ka kaarn hota hai.
anaap sanaap bolna= krodh mein aksar log apna vivek kho dete hain aur anaap sanaap bolte hain jo vivaad ka kaaran banta hai.
sir aakhon....... matlab kuch jyada hi sammaan dena.
maat dena...... matlab kisi ko haraana
mooh latkana.. matlab udaas hona
doodh ka ......... matlab sach saamne lana
daraar padn..... matlab sambandh kharaab hona
anaap shanaap .. matlab bina soche samjhe kuch bhi bolna chahe wo galat hi ho.