Hindi, asked by pursdsd4hRagavf, 1 year ago

समाज में रिश्तो की क्या अहमियत है |

Answers

Answered by monu7bishnoi
6
Samaj mai Rishto ki bahut Ahamiyaat  hai . Rishte hi hume ek dusre se jode rakhte hai aur ye hi apsi mel milpa samajik ekta ka adhaar banta hai . ye rishte hi gharo bahar nikal kar mohallo aur galiyo se chal kar   rajyo aur bharat ko jode rakhte hai . ek dusre k prati  saamjasya aur saath dene ki kala ko viksit krte hai . 
sukh dukh aur aapsi kathinaaiyo ka saamna krne mai madad krte hai riste . jo rista sirf sawarth par tika hota hai uska aant bahut jaldi hi hota hai . risto mai dene ki bhavana jaydaa aur lene ki umeed kam rakhni chahiye . aise hi rishte sakthi pradaan krte hai . rishte apko ek surkshaa aur sayam ka bhaav dete hai . riste apko chunotiyo ka saamna krne ki aajaadi aur majbooti dete hai . pariwaar mai maa baap , bhai bahan , pati patni aur  mohlle mai padosiyo kaa rishta , saare vishwaas par tika hote hai . samaj mai janata aur neta ka rishta bhi bada khaas hota hai aur wo hi desh ki sachhi pragati kaa pratik hota hai . aagar doso achhe se sath nibhaaye to desh hamesh aaage hi badhega. issliye samaj mai har rishte ki bahut ahamiyaat hai . phir chaate chota ho yaa bada rishta .

Similar questions