Samajwadi ka Bible kis Pustak ko kaha jata hai
Answers
Answer:
Communist Manifesto naamak pusthak ko ' Samajwadi ka Bible ' kaha jaata hai. yeh asal me ek kitaab nahi hai balki yeh ek " Political Pamphlet hai. Is Communist Manifesto ko German Philosophers " Karl Marx " aur " Friedrich Engels " ne milkar 1848 mein likha hai. Yeh Communist Manifesto mein humhe " Class Struggle ", " Capitalism " aur " Communism " jaise acche vishayon par bahut acchi jaankaari milthi hai.
Isme jyaada tak Karl Marx aur Friedrich Engels ne Samaaj ke baare mein aur samaaj mein rajneeti ke bhumika ke baare mein acchi tarah se jaankari diya gaya hai. unke shabdon mein likha gaya hai ki kaisa tab ka Capitalist Samaaj dheere dheere Socialist Samaaj mein badal jaayegi. ve tab unke jamaane mein bohat se capitalist aur communist bhaavon se bhare hue the. aise socialist aur communist bhaav prakat hone ke kaaran is pusthak ko samajwadi ka bible ke naam se pukaara jaatha hai.