Sampreshan ke madhyam ke roop me Jan sanchar madhyamo ki bhumika pr parkhas dalie
Answers
Answer:
sanchar madhyam(communication medium)se aashey hai. Sandesh ke pravah me prayukt kiye jane wale madhyam. Sanchar madhyamo ke vikas ke pichhe mukhya kaaran manav ki jigyasu pravarti ka hona hai. Vartman samay me sanchar madhyam or samaj me gehra sambhand or nikat ta hai. Iske dwara jan samanya ki ruchi or hito ko spasht kiya jata hai. Sanchar madhyamo ne hi suchna ko sarvsulabh kraya hai. Takniki vikas se sanchar madhyam bhi viksit hue hai or issey sanchar ab global fenomeno ban gya hai.
sanchar madhyam, angrezi ke "media" (media ka bahuvachan) se bana hai, jiska abhipray hota hai 2 binduo ko jodne wala. Sanchar madhyam hi sampreshan or shrota ko paraspar jodte hai. Harold Loswiel ke anusar , sanchar madhyam ke mukhya karya suchna sanghreh or prasar, suchna vishleshan, samajik mulya or gyan ka sampreshan or logo ka manoranjan karna hai.
sanchar madhyam ka prabhav samaj me anadikaal se hi raha hai. Parampragat or aadhunik sanchar madhyam samaj ki vikas prakariya se hi jude hue hai. Sanchar madhyam ka shrota athva lakshyasamuh bikhra hota hai. Iske sandesh bhi asthir swabhaav wale hote hai fir sanchar madhyam hi sanchar prakariya ko anjaam tak pahuchate hai.
Explanation:
Sampreshan ke madhyam ke rup se jan-sanchar madhyamo ki bhumika:
aaj ke samay me sampreshan ke madhyam ke rup se jansanchar madhyamo ne bahut tarakki kar li hai. Ab ek dusre ko sandesh pahuchana bahut aasan ho gya hai chahe voapne desh ke kisi bhi kone me dena ho ya desh se baahar. Jab se 4G mobile sanchar prodyogiki aai hai tab se sab jagah network aasani se mil jata hai or baat bhi ho jati hai.
Computer ke aavishkar ke baad iss shetr me pratidin naye aayam sthapit ho rahe hai. Sanchar jagat me "E-mail" ki lokpriyata dheere-dheere badhti hi jaa rahi hai.
E-mail ke upyog ya issey hone wale laabh bahuaayami hai. Sanchar ke shetr me "video conferencing" bhi vegyaniko ki ek adbhut den hai. Iske madhyam se do ya do se adhik vyakti ek dusre se milo ,dur reh kar bhi aapas me baatchit kae sakte hai.
Bahut saari video apps hai jese: whatsapp, google duo, skype, zoom app aadi(etc.) ki sahayta se hum apne sandesh sanjha kar sakte hai.
Jansanchar ke madhyam se radio, cinema, samachar patr, kitabe aadi(etc.) se sabko bahut laabh ho gya hai. Media ki sahayta se ghar par hi sab khabar mil jati hai.