Hindi, asked by NadavKunda871, 1 year ago

Short Essay on 'Id-ul-Fitr' in Hindi | 'Eid' par Nibandh (301 Words)

Answers

Answered by PreethiShankar
13
Khushiyon ka thyohaar hai Eid aur musalmanon ka sabse bade thyohaaron mein se ek hai. Yeh thyohaar bharat aur puri duniya mein bahut dhum dham ke saath manaya jaatha hai. Eid ka thyohaar islamih maah shavval ki pehli thareek ko manaya jaatha hai. Iske pehle ramzan ka mahina hota hai. Ramzaan ke maheene ke antim din rozon ke baad dikhayi dene wala pehla chaand Eid ka chaand kehlata hai aur uske dusre din Eid manayi jaati hai. Sab naye kapde pehenke allah ko dhanyavaad dete hain aur gale milkar eid mubarak dete hai. Eid mubarak ka mela lagtha hai. Desh ke sabhi pramukh masjidon mein vishesh namaaz ada karte hain. Eid ke din mitayi aur sevaiya sabke ghar pe banthi hai aur baanti jaati hai. Sevaiya es din ka priya vyanjan hai. Eid thyohaar daya, paropkar, udartha aadi manviya bhavnayon se yukt hota hai. En logon ka vishwas hai ki ramzan mahene mein roze rakhne se inki aatma pavithra hoti hai aur nark se mukti milti hai. Es khushi mein Eid manayi jaati hai.
Similar questions