Hindi, asked by geetika3, 1 year ago

short hindi story on samey bada balwan

Answers

Answered by kvnmurty
24
     samay bada balwan hota hai.  kyon ki sare log jo veer dheeraj parakramee the ve sab kuch samay tak, apana raj kar sakte the. Lekin kuch salone ke baad ve kalgarbh mein sama gaye. Sirf aur sirf samay hee age nikalta gaya.  Is duniya ke panch bhooton ke alava, sirf ek samay hee tik tha hai anat aur avinash.

     ek shahar mein ek dhanwan tha. vah bahut bada udyogpati bhi tha. Vah nyay aur anyay se dhan kamata tha. bahut sara kaala dhandhe chalata tha aur kaala dhan kamaata tha. usko bahut gav tha ki use koi na hara sakta tha aur uska saamna koi nahin kar sakta tha.  jo bhi uske khilaf kahta tha use marva deta tha.  uske guru ne bola ki samay sab se balwaan hai.  ache raaste par chala karo, nahin to kabhi na kabhi samy tumhe haraa kar raaste par laakar khada kar dega.

    sarkaar ke pas kaphee paise nahin the. aur log imaandaari se kar nahin (chukate) dete the aur liye hue karje bhee udate the. sarkaar ne puraane noton ko radd kar diya. aur ameeron ke kaale dhandhon par chape mare.  bahut sare gunahkaaron ko giraftar kiya. dar ke mare us dhanwan ne apane sare kale dhandhe band kiya. apane sare kaale dhan ko logon mein aur mandiron mein baanta. aur giraftaaree se bachne ke liye ghar se bhag gaya. khane peene ke liye aur achchee tarah se sone ke liye uske pas kuch jyaada nahin bachaa.

  tab use yaad aaya apane guru kee kahee batein. tab voh maana ki samay bada balwaan hota hai aur sab logon ke oopar apana raj chalaataa hai.



kvnmurty: click on red heart thanks
kvnmurty: thanks for selecting brainliest
geetika3: your welcome
duragpalsingh: Great Answer
Similar questions