speech on family in hindi
Answers
Answered by
2
Parivaar. Parivaar kya hai?ek bandhan hai,ek dor hai jo logon ko aapas me jode rakhta hai. Agar koi rooth jata hai to,manane wale kam nahi parivaron me :)
Mera parivaar ek bada sa parivaar hai jahan mere ammi,abba,aapa,bhai,behen,bhaiya,nana,dada aur billiyan rehte hain.
Halaki ise bada parivaar kehna galat hoga lekin humare ghar me billiyan 9 hain.
Toh,humara parivaar ek hasta-khelta khushnaseeb parivar hai.
sach hai,mujhe apna ghar behad pasand hai.Mujhe kisi aur ke ghar teherna pasand nahi..vo khushi kahan jo humare ghar se mile? :3
Mere parivaar ne mujhe paal-pos kar laad se pala hai
meri ammi..aaj tak mujhe khilati hai :P school jaane se pehle se raat tak vohi mujhe sambhalti hai.Abba to khaas kuch nahi karte par unse bahut kuch sikhne ko mila.Vo mujhe ganit yaani ke mathematics sikhate hain.Halaki kuch samaj me nahi padta... phir bhi :P Meri judva behen... bohot baat karti hai...muh kholti hai to 2-3 din baad hi band hota hai :D meri aapa jaan... abhi vo internship kar rahi hain,badi khubsurat hain,hamesha mujse ladti rehtin hain :P
Mera bhai bada shareef banda hai...kisi ki bhi nahi sunta :) chaand ka tukda hai vo (aise mai nahi meri chachi,mausi,mami kehtin hain)
mere nana,ab unke bare me kya kahen,fauji they.Dil ke sakt they.Ve swabhimaani they,unki bat koi taal nahi sakta tha.Unhe parivar se zyada dusron ki fikra rehti thi.Unki zindagi samajik seva me beet gai.Unse hum bhoth pyar karte hain.Kehte hain na..ki kuch khone par hi uski ehmiyat ehsas hoti hai? Mere dada,filhal allah ke paas hai lekin mere dil me rehte hain <3 unhone mujhe kawwe(crow) ka chitra banana sikhaya...Bachpan se hi mene apni nani ya dadi ko nahi dekha..ve dada they jo har waqt saaye ki tarah chalte they sath. Vah mere saath hindi ke sare serials dekhtey they,vahi kahaniyan sunatay they,monday jab mai white uniform me school jati thi..ve bhi white and white me aate aur mujhe school le jate. Bachpan ka pura waqt unke saaye me zaya kiya tha. Unke jaane pe itna dukh hua ke aankhon se ashk behte to mushkil se. Yaqeen nahi hota na ke jo kal tak haath thame tha,aaj chood gaya? D: Unki yaad abhi bhi satati hai... dua me hamesha yaad karti hu unhe :D
Ammi meri bhot cuteee hain,dil se bhi shakl se bhi.Mere khandaan me hasne hasane ka junnoon khoon me daudta hain.
Bade mazak karte hain sab mere khandaan me.
Mera parivar yahi khatm nahi hua,mere dost,mere jaan :P
kuch gine chune log hote hain to mushkilaat aur khushi ke wat sath dete hain. Aise hain mere gareeb dost jo mere saath jhadga karke unhe neend nahi aati :)
Mai apne parivaar se bahut pyaar karti hun.Mujhe mere parivaar ke har ek shaks pe garv hai.
Cheers!

RabaabZahidah:
Brainliest ans?
Similar questions