Hindi, asked by s6hwar3ysananyashete, 1 year ago

speech on nurses day in hindi

Answers

Answered by rajawaseemkiani
14
Nurses ko sahi tor par 'sisters' kaha jata hai kiun kay sisters har ghar main hoti hain aur woh apne maan baap aur behn bhaiyon se pyar karti hain aur unki har zarorat ka kheyal rakhti hain. Doctors to mareez to check kar k dawa likh dete hain lekin asal kaam aur hamdardi nurses karti hain. Dawa khilana, injection lagana, marham patti karna aur sari raat mareezon ka kheyal rakhna nurses hi kar sakti hain.
Nurses apne kaam k lehaz se pay bohut kam leti hain lekin phir bhi apna kaam poori mehnat, lagan aur pyar se karti hain. Nurses ka kaam insaniyat ki bagher kisi lalach kay khidmat karna hai. Yeh baat bilkul wazeh hai kay agar nurses na hoon to medical ka kaam khatam ho jaye q kay aik bemar sakhsh ko dawa k sath sath dekh bhaal ki bhi zrorat hoti hai.
Similar questions