Speech on UNTOUCHABILITY or "अस्पृश्ता" in Hindi. Please do it and help me!
Answers
Asprshta
Vishwa ki
sabse pracheen samsyao mai se ek thi . jo ki ab lagbhag purntya khatm ho gayi
hai use ja s se mita diya gya hai . Jaha tak logo ko isk apata hai log
kahte hai ye sirf bharat varsh mai au rkhaas kar Hindu samaj mai hi fali
hui thi . Joki ki sarasar galat hai .ye sampuran sansaar mai sabhi sampradaayo
mai dekhi gai hai au rdheere dheere isska bhi polio ki taraf samajik au
rsarkaari sahyog purantaya unmolaan kr diya gya hai .
Asprshta ki kuriti mai samaj alag alag varno
mia bata hua tha au rneench neech ka bahut matbhed tha .Uchha jaati aur
sampradaay ke log niman jati ke logo ko heen bhaavna se dekhte the .
Jaise unko choona nahi . samja ki sabhi suvidhaao par unka hak naa hona . jais
ekuaa k paani yaa kisi dhaarmik ithaan mai pravehs ho yaa Gurukul mai saath pad
ne ki baat ho . unhe kai suvidhaao se door rakha jaata tha . Neeche tabke
logo ko paas nhi aane diy ajata tha aur unhe aangan door bithaya jaata tha .
Sadharan roop se unkaa samman nhi hota tha . Aur unhe tiraskirt mana
jaata tha .
1950 mai bharat sarkaar ne savadhaanik roop se
Asprshyta ko mita diya . kaanoon k mutabik sabhi saath baithe aur padhen
aur khaane ka hak . sarkaari nuokariyo mai barabar ka hak hai . Parachin kaal mai aise logo ko Dalit ya harizan kaha jata tha . Lekin
abhi Sab barabar hai aur savidhaan saman adhikaar aur kratvya pradaan krta hai .
Lekin abhi bhi bahut saare sangatho aur raajnitik partyo davara baar baar saamj ko s=usi andhre mai dhakela jaa raha hai . Jise Jaat Paant ki raajniti kaha jaat hai . Ek varg vishesh ko ye kah kar lubhaya jata hai wo pichda hua hai aur hum unhe unka hak dilaayneg . Jabki aisa kuch nhi hai . Savidhaan ne sako adhikaar pradaan kr rakhe hai . Bas jarurat hai to hume unka nitigat parayog kai kr k rastra ke prati apne kartavyo k aniravh krna naaki ki aapsi ladai mai pad ke samay barbaad krna. Isliye chuuachhut ko na kahe aur sabko gale laga ke rastra nirmaan k bare mai soche . ye hi rastrahit mai janhit mai satya aur srasht hai .