stories of respecting grand parents
Anonymous:
yes it is really heart touching story
Answers
Answered by
2
Ek baar ek aadmi rehta hai jo bilkul bhi padha lika nhi rhta. Vah shahar aata hai aur yahan aakar majdoori krke paise kamata hai. Vah shaadi karta hai aur uska ek beta hota hai. Vah chaahe khud padha likha na ho par vah apne bete ko padhane ke liye khub mehnat karta hai. Uske beta ke thode bade hote hi uski maa ki mrityu ho jaati hai. Beta badi mehnat se padhta hai aur bada afsar ban jaata hai. Par ab use apne budhe pita ko paalna bojh lagne laga tha. Usne apni marjee se shaadi kar li. Phir usne ek bada sa bangla banvaaya parantu apne pita ke liye ghar ke peeche ek tuti aur kacchi si jhopdi bana di. Uske pita ne koi shikayat nahi ki. Ve hasi khushi phate kapde pehente, phati chaadar odhte, rukha sukha khaate aur maile se kapdon me bethe rhte. Ab unke ghar me unka pota aaya yaani ki unke bete ka beta. Vah bada hone laga. Vah apne dadaji se bohot pyaar karta tha aur uske dadaji bhi usse bohot pyaar krte the. Par jab bhi vah apne dadaji ko thand se tadapta dekh unhe nayi chaadar dene jaata to uski maa use khoob dant ti. Vah ab 15 saal ka ho gaya tha. Ek din jab uske pitaji ghar par the to usne apni maa evam apne pita ke kuch kapde nikale aur mitti me lad pad kar diye. Avaaz sunkar uske maata pita bahar aaye aur pucha ki vah ye kya kar rha hai. Toh usne kaha ki vah to bas un dono ke budhape ke liye vese hi kapde tyaar kar rha jo unhone dadaji ke liye tyaar kiye the. Ye sunkar beta-bahu ho apne kiye par bohot sharam aayi aur unhone uske dadaji ko saaf kapde pehnakar apne bangle me jagah di.
Similar questions
History,
8 months ago
English,
8 months ago
Math,
1 year ago
Math,
1 year ago
Social Sciences,
1 year ago
India Languages,
1 year ago