story from Panchtantra with moral
Answers
ek nadi ke kinare ek jamun ke ped par ek bandar rahta tha jiski mitrata us nadi me rahne vale magarmach ke sath ho gayi. vah bandar us magarmach ko bhi khane ke liye jamun deta rahta tha. ek din us magarmach ne kuch jamun apni patni ko bhi khilaye. svadisht jamun khane ke bad usne yah sochka ki rozana ese meethe fal khane vale ka dil bhi khub meetha hoga, isleye usne apne pati se us bandar ka dil lane ki zid ki. patni ke hatho majboor hue magarmach ne bhi ek chal chali aur bandar se kaha ki uski bhabhi ue milna chahti he isleye vah uski peeth par beith jaye taki surakshituske ghar pahuch jaye. bandar bhi apne mitr ki bat ka bharosa kar, ped se nadi me kuda aur uski peeth par savar ho gaya. jab ve dono nadi ke beecho beech pahuche, magarmach ne socha ki ab bandar ko sahi bat batane me koi hani nahi aur usne bhed khol diya ki uski patni uska dil khana chahti he. bandar ko dhakka to laga lekin usne apna dhairy nahi khoya aur tapak se bola- "oh, tumne, yah bat muje pahle kyo nahi batayi kyoki mene to apna dil jamun ke ped ki khokhal me sambhal kar rakha he. ab jaldi se muje vapis nadi ke kinare le chalo taki me apna dil lakar apni bhabhi ko uphar me dekar use khush kar saku." murkh magarmach bandar ko jaise hi nadi-kinare le kar aya; bandar ne zor se jamun ke ped par chalang lagai aur krodh me bharkar bola-"are murkh, dil ke bina bhi kya koi zinda rah sakta hein? ja, aaj se teri-meri dosti samapt."
moral- musibat ke kshano me dhairy rakhna chahiye taki ham kathin samay ka dat kar samna kar sake. dusra, mitrata ka sadev samman karna chahiye.
Vishnu Sarma begins his fourth Tantra with the following stanza:
“He overcomes all problems
Who does not lose his cool
Even in the face of adversity
Like the monkey in the water.”
Raktamukha was a monkey living on a blackberry tree near the coast. That tree was always full of fruits. One day a crocodile named Karalamukha came out of the waters and loitering on the sands came to the tree.
Seeing the croc, the monkey said, “O croc, you are my guest. I will feed you with these delicious blackberries. Enjoy the fare. The learned have said,
“That man is blessed who hosts
A lover or an enemy or a fool.
Angels will desert the home
That fails to host a guest.”