Hindi, asked by vivekbosskhan, 1 year ago


summary of ram lakshmanparshuram samvad

Answers

Answered by diksha9331
1

Answer:

Shivdhanush tootne ke saath sita swayamvar ki khabar milne par parshuram janakpuri me swayamvar ke sthan par aa jaate hai . haath me फरसा liye krodhit ho dhanush ko saamne aane , sahastrabahu ki tarah dandit hone aur na aane par vaha upasthit sabhi rajao ko maare jane ki dhamki dete hai . unke krodh ko shaant karne je liyeram aage badhkar kehte hai ki dhanush - bhang karne ka bada kaam unka koi das hi kar sakta hai . parshuram is par aur krodhit hote hai ki daas hokar bhi usne shivdhanush ko kyu toda . yah to daas ke uparyukt kaam nahi hai . lakshman parshuram ko yah kehkar aur krodhit kar dete hai ki bachpan me shivdhanush jaise chhote kitne hi dhanusho ko unhone toda , tab ve mana karne kyu nahi aaye aur an jab purana aur kamzor dhanush shri ram ke haato me aate hi toot gaya to kyu krodhit ho rahe hai . parshuram jab apni takat se dharti ko kai baar kshatriyo se heen karke bramhano ko daan dene aur गर्भस्थ shishuo tak ke naash karne ki baat bataate hai toh lakshman un par shoorveero se paala na pad jaane ka vyangya karte hai . ve apne kul ki parampara me stree , gaay , aur bramhan par vaar na karke apkirti se bachne ki baat karte hai to dusri taraf swayam ko pahaad aur parshuram ko ek फूंक siddh karte hai . rishi vishwamitra parshuram ke krodh ko shaant karne ke liye lakshman ko baalak samajh kar maaf karne ka aagrah karte hai . ve samjhaate hai ki ram aur lakshman ki shakti ka parshuram ko andaza nahi hai . ant me lakshman ke dwara kahi gayi गुरुऋण utaarne ki baat sunkar ve atyant क्रुद्ध hokar फरसा sambhaal lete hai . tab saari sabha me hahakaar mach jaata hai aur tab shri ram apni madhur vaani se parshuram ki krodh roopi agni ko shaant karne ka prayas karte hai .

Similar questions