Hindi, asked by manishaghuge2044, 1 year ago

दो मित्रों के बीच छुट्टियों बिताने की योजना बनाते हुए संवाद लिखें।

Answers

Answered by annu712
6
Garmi ki chuttiyan shuru hone wali h..aur do mitr aryan aur atharv apni chuttiyon mei kaha jaayege is baat ko lekr samwaad kr rahe h..

ARYAN: aree atharv garmi ki chuttiyan shuru hone vali h...kya tum kahi ghoomne jaa rahe ho...??

ATHARV: haar aryan main apne parivaar ke saath Shillong jaa raha hoon.

ARYAN: acha.. Shillong hi kyu...??

ATHARV: aree aryan tuhmhe nahi pta Shillong ek bahaut hi sundar shahar h ..vaha pr bahaut khoobsoorat jharne h, golf khelne ke bade-bade maidaan bhi , chidiya ghar, museums aur bahaut kuch h.

ARYAN: acha! Ye to mujhe pta hi nahi tha.

ATHARV: haan aur tumhe pta h hum vaha se phir Meghalaya jaayege..jaha pr bahut ache jharne , sundar paridrishya aur gazab ke log h. Tumhe pta h Shillong bhi vaha ke logo ke liye bahaut prasiddh h. Vo bahaut hi khule vicharo vale hote h. Iske alawa Shillong bharat ki sangeet ki raajdhaani maani jaati h kyuki yahi se bade bade sangeetkaaro ne janm liya h , vaha pr gaane ke karyakram hote rahte h aur inhi karyakramo se yah shahar jeevit ho uthta h.

ARYAN:wah! Mujhe to yeh sab pta hi nahi tha. Mai bhi apne parivaar valo se kahunga ki hum bhi Shillong ghoome jaaye..tumhari baati se to lag raha h ki Shillong mei bahaut maza aayega tumhe.

ATHARV: bilkul mitr m aasha krta hoon ki tum aur tumhara parivaar bhi hamare saath hi chale.
×××
Similar questions