Hindi, asked by derpycarcar, 8 months ago

वृक्ष तथा यात्री (पथित) के बीच संवाद लिखिए. IT SHOULD HAVE AT LEAST 10 DIALOGUE. PLZ ANSWER FAST.

Answers

Answered by GaganpreetGill
1

Answer:

( Yatri jungle meh akela chal raha tha )

Tree : - Namaste !! Aap yaha kya kar rahein hai?

Yatri : - ( Ghabrate hua ) Kon bol raha hai ?

Tree : - Aree.. Ghabraiye nahi... meh Ped ( Tree ) bol raha hu.

Yatri : - Achhaa.. Meh toh ghabra hi gaya tha . Meh jungle meh bhatak gaya hu ped bhaiya ,kya aap mujhe bata sakte

hai ki meh kaise apne sheher ( city ) vaapas jaao ??

Tree : - Haa , jaroor mere insaani bhai. Tum mere upar chad jaao , tumhe upar ka nazaar dekhega aur yeh pata chal jaayega ki tumhara sheher kis disha meh hai. Meh yeh jaroor janta hu ki tumhara sheher yaha se jyada door nahi hai.

Yatri : - Theeke , jaisa aap kahe Ped bhaiya. ( Ped par chadne ke baad ) Haa !!!! mujhe mera sheher mil gaya ped bhaiya. Mera sheher Uttar disha ( north ) meh hai.

Tree :- Bohut khoob . Ab niche aa jao.

Yatri :- ( Niche utarne ke baad ) Dhanyavaad ped bhaiya.

Tree :- Arre.. dhanyavaad ki koi aavashaykta nahi, yeh toh mera farz hai mere insaani bhai.

Yatri :- Chalo abb meh chalta hu.

Tree :- Theeke ,mujhe agli baar jaroor milne aana ,Theeke??

Yatri :- Meh jaroor aaunga ped bhaiya.

Hope this answer helps you friend ♥️

Similar questions