Hindi, asked by kumarupdesh1982, 1 month ago

विदेश में रहने वाले मित्र सखी को नौवीं कक्षा में हिंदी विषय लेने पर आज के युग में हिंदी की उपयोगिता बताते हुए पत्र लिखिए​

Answers

Answered by kalpanaa743
3

Answer:

I m giving you body of the letter. Complete remaining portion.

Explanation:

priya sakhi abc tum videsh main padi badi hui ho aur ushi videshi rang dhang main dhal chuki ho. Videshi logo ki nazro main hindi vishya ko kam darje ka mana jata hai parantu aisa kuch nhi hai. Har vishye ko apna ek matlab , darja aur scope hota hai. Tum hindi vishya lena chahti ho ye sun kr mujhe bahut acha laga. Tum jarur se hindi vishye ka chayan kro.

Ek bhasha k rup main hindi n srif bharat ki pahechan hai balki yaha humare jivan mulyo, sanskruti yevam sanskaro ki suchi samvahak, sampreshak, aur prichayak bhi hai. Bahut saral , sahaj aur sugam bhasha hone k sath sath hindi vishya ki sambhavtaha sabse vegyanik bhasha hai jise duniya bhar main samajne , bolne aur chahne wale logo ki sankhya bahut badi sankhya main maujud hai. Yaha vishv main tisri sabse jada boli jane wali bhasha hai jo humare paramparik gnyan, prachin sabhyata aur aadhunik pragati k bich ek setu bhi hai. Hindi Bharat sangh ki rajbhasha hai.

Hindi bhasha k kahi saare upyogita hai. Main aasha krti hu tumhe meri baat samjh aayi hongi. Apna aur parivar ka dhyan rakhna.

tumhati sakhi,

xyz

Similar questions