Vigyan se Labh Hindi me
Answers
Answered by
0
APKA UTTAR:-
_______________________________________
VIGYAN SE LABH
Jaise ki hum sab jante hi hain ki aj ke is daur mein koi bhi karya vigyan ke bina nhi ho sakta.
vigyan ne hame ek nyi disha dikhai hai, parantu jis prakar ek sikke ( coin) ke do pehlu hote hain usi prakar vigyan ke bhi agar fayede hain toh usi prakar nuksan bhi hain.
→ Agar hum kisi vastu ko thik prakar se istemal karein toh wah hamare liye achha hi sabit hoga.
Vigyan ne aj bahut hi tarakki kar li hai. Aj hamare pass har ek bimari ka ilaz hai, hamare paas kayi upkaran hai apni suvidhaon ko pura karne ke liye.
Insaan ne apne dimag ke istemal se kayi chizein banai, jisme mein se acohol bhi hai. Agar hum gaur karein toh iska koi istemal nhi hai Phir bhi log ise na jane kyon pasand karte hain.
Vigyan ne ek khoj ki aur alcohol banaya parantu hame kis prakar uska prayog karna hai ye hamne nhi socha. Vigyan toh hamare liye ek ashirvad hai jise hame sambhal kar istemal karna chahiye.
Vigyan ne kyi avishkar kiye jisme vahan bhi hain, aj hamare desh mein kitna pradushan ho raha hai. Agar kisi ko pass hi jana hai toh bhi ham car ya bike ka istemal kyon karte hain?
Hamare paas aj bijli ( light) bhi hai. jo ki ek sarthak jeevan ke liye bahut hi jaruri hai, wo bhi hame vigyan ki sahayta se hi mili hai.
Agar vigyan na hota toh shayad aj ham sab andhkar mein jee rahe hote!
Agar ham ek knife ko vegetables aur fruits ko cut karne ke liye istemal karein toh wah hamare liye fayeda hoga parantu agar hum usi knife ko kisi ko marne ke liye istemal karein toh wah nuksan hoga.
Is example se mai bas itna hi kahna chahungi ki yahan pe vigyan toh hamare liye ashirvad hi hai parantu agar use sahi dhang se prayog kiya jaye!
Agar vigyan ka mahtav janna hai toh ek din, bas ek din bina vigyan ke rah ke dekho..khud hi pata chal jayega.
_____________________________
THANKS:)
HOPE IT HELPS UH!!
Attachments:
Similar questions
Math,
7 months ago
History,
7 months ago
Math,
1 year ago
French,
1 year ago
Social Sciences,
1 year ago