vipatti ke Samay Sanchit Dhan hi kaam aata hai anuched likhiye
Answers
Answer:
Vipatti ke samay Sanchit dhan hi kaam aata hai
Explanation:
Meri maa zyada padhi likhi nhi hain.Magar maine unse ek zaruri aadat zarur seekhi hai.Wo hai Bachat karne ki.Hamare rishtedar akser Pitaji aur Maa ko zyada padha likha nhi hone aur middle class hone ka taana marte the kyunki wo log ameer the aur fizoolkharchi ko apni shaan samajhte the.Humlog unke sang itna party shopping,aur mehngi jagahon per ghoomne jaana nhi ker paate the.
Bhua jab bhi hamare ghar aati tab wo yahi kehti ki tumhare ghar kisi jhompadi ke jaisa hai.Hum saare cousin society ka park main ghoomne jaate magar kahenge mall main ya mehenge rides ke liye nhi jaapaate.Phuphaji jab bhi btate the ki wo aur bhua apne rishtedaron ke sang videsh gye aur bohot mehange khilone aur gift kapde wagehra khareede tab mujhe mummy papa per bada guess aata.Main unse kehti ki aaplog bhi phuhaji ke office main job kyun not karte.
Tab papa ne samjhaya ki unki company bhi achi hai aur salary zarurat ke hisaab se theek hai.Wo aur mummy zyada kharch not karke Sab paise bank main jama karwa dete hain taaki bhavishya main mere aur mere bhai ke kaam aa .
sakein
Ek din news main dekha ki desh main demonetisation ho gya hai.500 aur 1000 rupaye ke note nhi chalenge.Papa mummy ne kaha koi baat humne pehle hi bade note bank main daale gye hain.Ghar main 100 rupaye aur 200 rupaye ke note hain koi dikkat ki baat nhi hai.
Mummy her hafte dus rupaye jama karti thein.Inke pass 50,000 rupaye jama hue the.Poora mahine koi dikkat nhi aanewala thi.Aaj mujhe apne mummy papa per bohot garv to raha tha.
Tabhi bhua ka phone aaya wo bohot ro rahi thein kyunki wo log kisi hotel main ruke hue the magar demonetisation ke karan unke 500 rupaye ke note hotelwale accept nhi ker rahe the naa unke atm card accept ho rahe the.
Papa Mummy se 100 ki gaddiya lekar
unke hotel gye aur payment karwaya.Papa mummy ne bhua aur phuhaji ko fizoolkharchi nhi karne aur paise hamesha jama karne ki salah di.Papa ne bhua se kaha ki tumhari bhabhi kitni hi anpadh sahi magar aaj unke karan hi Papa hotel ki payment per paaye.Bhua aur phuphaji bohot sharminda hue unhone Mummy papa ko apne bartaav ka liye sorry kaha.