Hindi, asked by SnehaShetty, 1 year ago

Vrutant lekhan(report writing) - vidyalay me aayojeet ki gayi bhasha pradarshani (exhibition) par vrutant likhiye

Answers

Answered by monu7bishnoi
52

vidyalay me aayojeet ki gayi bhasha pradarshani (exhibition)

 

23 Faburay , 2017 Guruwaar ko hamare vidhyalaya mai ek bahut badi aur bhavya bhasha pradarhsani rakhi gayi . Vidhyalaya ked us we isthaapna divas par  Raj bhasha hindi ko badhawa dene hetu ye sundar pradarshani  aayojit ki gayi . Sabhi kakshao ke chaatro me bhaag liy aaur kai hindi bhasha ke  namune banaye . Geet , ekaani , natak  aur Nukkad natak ki pratiyogitaa ye rakhi gayi .Hamari  class Natak mai pratham isthaan par rahi . Bahut si nibandh pratiyogitye rakhi gayi .Aajadi mai hindi ka yogdaan  par charcha hui  aur Hindi lekhko aur kaviyo ko yaad kiya gya . unki kuch vishesh rachnao ke hisse bhi sunaye gye . Mahan Sahityakaar Premchand ji ko malyarpan kr ke Pradarshani ko suru kya gya . Sarswati vadna aur Ratragaan bhi gaya gya . Chhotte bachoo ko hindi ke varnamala ke namune diye gya aur sabadh banae ko kaha gya . Pahali baar pradarshini dekhene abhibhavako ke saath mitro ko aane ki manjoori di gayi . Sabne bahut traeef ki aur Rajbhasha hindi ko uchit ishthaan aur samman dene ka sankalp liya gya . Hamare Hinhi ke Guruji ne Veer ras se bahi kavita sunaayi aur Prachaarya mahaodya ne sabka abhionanadn kar ke  bachho ko badh chad kar bhag lene aur pradarshani ko safal  banae ke liye badhaayi aur dhanyawaad diya . Jila Collocoter dawara puruskaar diye gya aur Hindi ko jayda se jayda prayog lane hetu kaha gya . Bachho aur abhibhavako ko Sarbaat aur namkeen ka vitran kiya gya . Sab khush aur utsahit the.

 

Answered by elitegamers729
0

Answer:

mujhe nahi malum

Explanation:

ye kya hota hai

Similar questions