Hindi, asked by harmankitty2003, 1 year ago

what are story of jab main padhta tha
u will get 100 points
I'll Mark u as brainliest


Anonymous: padhta tha ? means ab nahi padhte aisi story ?

Answers

Answered by Anonymous
16
JAB MAIN PADHTI THI
---------------------------------

Padhai wo wahid cheez hai jis ki waja se insan jahil aur padhe likhe bande main fark kiya ja sakta hai .

Aik jahil banda kabhi padhe likhe bande ka mukabila nahi kar sakta .

Padhai k din bare suhane hote hain , agar padhai na ho to dil kuch udas sa hota hai kuch achha hi nahi lagta .

Padhai main sab se zyada maza tab aata hai , jab class main groups ban jaein aur phir un k darmiyan compitition ho .

Hamara bhi kuch aesa system tha , hamari class main do groups bane the group A aur group B , group B hamara tha , pura saal group A hamara mukabila karti rahi but 1 bar wo jeete kyun k us din main nahi gai thi (hahaha) phir mujhe meri group se kafi dant padi thi , k tumhari waja se hum log haare kyun k un k zyada tar points main banati , lekin sach kahun to mujhe hairat hai k main ghar main wo subject yaad hi nahi karti thi to phir mujhe wo class main kaise aata tha (ye baat mujhe heran aur pareshan kar deti hai .)

P T Period (matlab physical training class) Aur Recess:-
------------------------------------------------------------------------------

Sab se zyada intazar inhi ka hota tha , bachpan main to boht zyada khelte the lekin jaise jaise bare hote gaye khelna bhi chor diya .

Lekin haan sports day k kareeb aate hi itne practice karte k jaan nikalti . Pata nahi kyun larkiyan hum se darti thi k agar ye dodge the ball ki team main hain to phir yahi jeetein ge .

Tareef teacher ki zabani :-
------------------------------------

Ahaha sab se zyada maza class main is ka hota jab teacher kehti "pretty doll aap ki class ki sab se kamosh aur laik student hai , wo apne expression se insan ko sab kuch samjha deti hai " . Is baat ka sunana hota aur mera dil uchalne lagta k meri tareef ki teacher ne (ooooo) .

Aur phir jab teacher mere baare main kehti k sirf Pretty doll daily sunati hai , to phir mere to ware niyare ,maza aa jata .

Biology ki class :-
------------------------

Euuuuu bilkul maza na aata physically to class main hoti but mentally kahin aur lekin haan teacher jab kuch puchti to main bata deti , kyun k main ne pehle se padha hota .

Chemistry ki class :-
--------------------------

Bilkul maza na aata teacher thori magaz phiri thi , na un ki samajh aati na wo zyada samjhane ki koshish karti .

Physics ki class :-
-----------------------

Hamare Sir ko pata nahi kya masla tha munhe to samajh nahi aati thi , aur mujhe un pe ghusa bhi boht aata kyun k wo mujhe kam marks dete , wo is liye kyun k meri best friend un k friend ki beti thi to us k kam marks hote phir Sir mujhe bhi kam marks dete , jab main wahi paper tuitor ko dikhati to wo kehte k phir se Sir ko dikhana aap ka answer sahi hai .

Urdu ki class :-
-------------------

Boht maza aata aur sab se zyada intazar mujhe ghazal ka hota .

jo sher mujhe achha lagta wo main yaad kr leti jaise :-

1▪

dunya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rab

kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

2▪

Tum paas nahi ho to ajab haal hai dil ka

yun jaise kuch rakh k kahin bhul gai hun

Aur aik baar hamari kisi dusri class main paper tha to wahan poster laga hua tha us pe aik sher likha tha wo mujhe itna achha laga k main ne us ko palu se band diya , wo sher kuch aisa tha .

3▪

Likha nahi aata to meri jaan padha kar

padhne ko kuch na mile to

chehron pe likhe dard k unwan padha kar

School main to boht maza aaya khamosh bethi Pretty doll ne school padh liya phir college gai wahan mujhe ajeeb se naam mile , pretty doll , vampire , churail (hahahahahaha) , lekin maza boht aaya .

Pehle main logo se sunti k school aur college yaad aata hai to main dil main kehti k mujhe to kabhi yaad nahi aaye ga lekin sach hai k school aur college ki boht yaad aati hai .

_______________________

INSHALLAH IT WILL HELP U

HAVE NICE EVENING ☺☺☺☺

Anonymous: thankx
Anonymous: yeah it took time but i enjoyed
Similar questions