English, asked by Anonymous, 1 year ago

What is brother - sister relationship in Hindi ?

Answers

Answered by pathak2
2
Day 1: I felt very lonely, I didn't find a person to pinch, talk, laugh, fight etc. I miss her :(

Day 2: Mom started calling me for everything. Chinna turn off the heater, Chinna get me that knife, Chinna water the plants, Chinna, Chinna Chinna….. Now I got to know how supportive is my sister to my mom. I miss her :(

Day 3: We gathered to have dinner. My mom arranged four plates.I looked at her and she realised that fourth plate is not required anymore. We miss her :(

Day 4: I got a call from my sister. She said how are you? I broke down.. because from now we have to ask our well beings first. I never got the situation to ask her how are you? We never stayed apart. From now I can feel the beauty of her voice.

.

.

Week 2: I'm excited because she is coming to our home. I'm suggesting mom to cook variety of tasty dishes. It’s a strange feeling because I never did this before for her. From now I can feel the importance of her presence infront of us.

.

.

After 4 months: My sister is pregnant. She came to stay at our home. For the first time I understood the value of life when I touched her stomach to sense the baby inside. A new member to our small family. Ooooooh! Am really very happy and excited.

.

.

After 2 years: Whenever this cute kid call me mama or hold my finger with his little palm, I feel like I can do anything to make him happy. Now I can see her absolute emotional bonding with her kid than anything in this world. There are many situations like this which I can't express in words.




plz don't use any bad words only u think .,....and don't Lough okk


I hope it help you so plz add brain list mark

Anonymous: bhai very nyc answer
pathak2: thanx dear
Anonymous: I love ur bond with ur sister
pathak2: me too dear
pathak2: hlw
pathak2: plz add brain list mark plz Tanisha ...
Answered by tiashasha
2
heya,

relationship between brother-sister. (behan bhai ka rishta.)

bhai-behan ka rishta bahut alag hai. jab bhai apni behn ko tang karta hai, aur uski behan mummy ko awaz deti hai. selfie leni ho ya koi game khelna ho, bhai hamesha tang karta hai. mera koi bhai nahi hai par meri friends ke bhai mujhe bahut tang karte hai. apni behan unko itni pyaari nahi hai jitni mai hu. hamesha mujhe lagta hai jaise vo mera hi bhai hai. apni behan ko bahut bura bolna aur mai dikh gai to tarife shuru. har bhai apni behan ko bahut tang karta hai. kabhi kuch to kabhi kuch. har ek baat bhai ko pata hoti hai. behan bhi apne bhai ko tang karti hai par kabhi kabhi dar lagta hai ki kabhi choot na lag jaye mere bhai ko. rakhsha bandhan ye hi to hai. rakhsha bandhan mei behan apne bhai ko rakhi banti hai aur bhai usko wada karta hai ki vo uski rakhsha karega, aur kuch taufa bhi deta hai. 
      bhai de ya behan taufe bahut ache lagte hai chahe vo ek kagas ka tukda hi kyu na ho. agar behan ka janamdin hota hai to vo uska cake kha jata hai aur agar bhai ka vo behan kha jati hai. tang karne ka taufa to bhai aur behan ko hi milna chahiye. 
ek kahani jo bataye ga bhai aur behan ke bare mei..
ek din  behan udas hoti hai to bhai anke usse puchta hai ladhkiyo ki tarha "kya hua behana? udas kyu hai tu?" phir behan bolti hai "tu ja yaha se. mujhe nahi karni baat tujhse". bhai bolta hai " thik hai, bye". jab behan dekhti hai ki bhai jaa raha hai to phir usko awaz deti hai "bhai, ruk ja na plzzz." bhai bolta hai "abhi to tune hi kaha tha jaa to jaa raha hu. ab tu hi mujhe rok rahi hai. chal bata kya hua?" behan bolti hai ki "aaj meri dost ke saath jagda ho gaya kyuki, usko laga ki maine uski ek cheez leli hai lekin maine nahi li aur usne dosti tod di. bhai please usko samjha na ki maine nahi li uski cheez." uska bhai hasne laga aur bola " bas itni si baat abhi call karta hu." aur vo call karta hai lekin vo uthati nahi hai. apni behan ko khush karne ke liye vo bolta hai ki "mere phone mei balance nahi hai, dukan pe jake call karuga. tu chinta mat kar vo dosti kar legi." ye kehke bhai chala gaya. agle din, behan ka janamdin tha. bhai ne apni behan ke liye ek party rakhi. aur usko nahi bataya. 3 baj gaye the aur sab log aa gaye the. behan kahi gai thi. aur jab vo ghar mei aai to usne dekha saare mei andhera hai usne apne bhai ko awaz di. aur aage badti rahi. tabhi lights khuli aur usko aawaz aai "janamdin mubarak ho". aur usne dekha ki sab log waha hai. uski dosto ne usse gale se lagaya. aur jis dost ke saath uska jagda hua tha us dost ne usse mafi mangi aur kaha ki ye sab tumhare bhai ne bola tha karne ko. aaj tumhara janamdin hai isliye iss din ke ek din pehle ye sab hua. humdono ki ladai bhi ho gai, kyuki tumhare bhai ne bola tha." behan ne apne bhai se bola "mujhe hamesha pareshan karte ho tum, kya karu tumhara." uske bhai ne bola "agar tumhe satauga nahi to bhai kaise kehlauga, behan bhai ek dusre ko satane ke liye hai." aur phir bhai behan ki shaytani chalti rahi dono ek dusre to tang karte rahe. 
ye kahani kehti hai ki bhai aur behan ek vo log hai vo hamesha ek dusre ko khush dekhne ke liye hamesha satate hai. 
bhai-behan sabse jyada kimti hai ek dusre ki khushi ke liye. 


thank you........

Anonymous: Sis it really touches my heart
tiashasha: thank u tanisha
Anonymous: Ur wlcm sisy ^_^
Similar questions