write 10 sentences in past,present,future tenses in Hindi
Answers
PAST:
1)Hum kal ghoomne gaye the.
2)Maine pichle hafte nayi kitab khareedi.
3)Kal hamare padosion ne apna ghar badla.
4)Pichle saal hum kashmir ghoomne gaye the.
5)Meri kaksha mei pichle mangalvaar ko hi ek naya ladka aaya tha.
6)Hamari pathshaala mei kal hindi diwas: manaya gaya.
7)Mai pichle mahine apne pitaji ke saath mumbai gaya tha.
8)Pichle somwar ko hamari adhyapika ne ham sab ko mithai di.
9)Rahul kal khelte samay park mei gir gaya.
10)Mai aur meri behen pehle us pathshaala mei padhte the.
PRESENT:
1)Mai apni pariksha ke liye tayyari kar rahi hoon.
2)Neena apna greh karya(homework) kar rahi hai.
3)Mai apni maa ke saath dukan jaa raha hoon.
4)Mera bhai apni pustak mei chitr bana raha hai.
5)Hamare padosi ka kutta zor se bhonk raha hai.
6)Meri billi apna khana kha rahi hai.
7)Meri maa mere liye cake bana rahi hai.
8)Mere pitaji apna kaam kar rahe hain.
9)Meri behen gaana gaa rahi hai.
10)Mai apne ghar ki safai kar rahi hoon.
FUTURE:
1)Kal ham kolkata jaayenge.
2)Agle hafte mere mitr ka janamdin hai.
3)Agle mahine mai america jaaunga.
4)Raj ne kaha ki kal uske pitaji mumbai wapas aa rahe hain.
5)Kal Reena ki nritya pratiyogita hai.
6)Kal hamari pathshaala mei swatantrata diwas (independence day) manaya jayega.
7)Agle mahine hum meri naani ke ghar jaayenge.
8)Kal meri hindi ki pariksha hai.
9)Agle saal mera bhai wapas aa jayega.
10)Agle hafte Rani bangalore jaa rahi hai.
HOPE IT IS HELPFUL:)
(i have written the sentences in english only as it takes a lot of tym to write in the hindi keyboard...hope u understand)