Write a letter to your grand father saying him to take care in the days of corona virus
Answers
Answer:
Pariksha Bhavan
Nai Delhi
dinank:17 may.2020
priya dadaji
Subhashish!
bahut Dinon Se Na To Humne Koi phone kiya aur Na Koi Patra bheja. vaise aajkal Sab Jante Hain Ki Ham karo na Naam Ki Bimari se Gujar rahe hain.jaisa ki hum sab jante hai ki ye bimari bahut hi khatarnaak hai or abhi tak iski koi dava ban nahi pai hai. lekin kuch tarike hai jissse hum bhi surakshit reh sakte hai or doosron ko bhi surakshit rakh sakte hai. aap log akele rahte hai jisse hame har pal aapki chinta satati rehti hai.indino kai musibaton ka hume samna krna padta hai . parantu agar hum kabhi bahar lisi zarori kaam se nikle to ek baat ka to zarror Dhyan Rakhna chahie ki Hamen Bahar nikalte Waqt Hamesha Apne muh Ko dhakna hai aur gloves pahankar hi Bahar nikalna hai Jaise hi Ham Ghar per Aaye To Hamen Hamesha Apne Hath pair sanitize kar ke andar Aana chahie aur jo chij Ham late Hain unhen do teen din tak Bahar hi chhodana chahie parantu Agar ki Itni avashyakta Hai To Hamen main unhen dhokar hi istemal karna chahie ine chijon se Ham Khud bhi surakshit Rahenge Aur dusron Ko Bhi surakshit Rakh Sakenge . Bus Itna hi. fursat mile to patr likhiyega or phone bhi kar dijiega apna dhyan rakhiyega. shesh sab theek hai. uttar ki pratiksha me.
Apka apna
a.b.c.d.