Hindi, asked by MuraoPin9kak, 1 year ago

Write a paragraph on media ke badhte kadam IN HINDI in around 100 words.

Answers

Answered by Anonymous
15
purane zamane main humein smachar kewal newspaper k dwara hi milte the,fir radio ke avishkar k baad sab radio per hi samachar sunte the aur gaane bhi sunte the.1985 k baad tv  per hi sab  samachar dekhne lage tv poer to filmein,gaame cricet wagehra sabhi ka prasaran hone laga.
jis tarah soochna kranti ka aavishkar hua hai usi tarah media main bhi kai tarah ke broadcasting ki takneekein aa gyi hain.jaise k ab hum samachar kewal radio aur tv per hi nhi apitu mobile per bhi dekh sakte hain aur youtube per to nai purani koi bhi news dekh sakte hain.news channels ki abni websites bhi hain jinper aap poorani aur nai koi bhi news dekh sakte hain.
aajkal voot hotstar wagehra bohot online tv bhi shuru ho gye hain jinper hum latest news serials movies download kar sakte hain.aur jab man kiya dekh liya chahe live cricket ho ya purani highlights .yeh sab kuch internet k karan hi sambhav hua hai.
internet ki madad se ab media ke kadam ab aasmaan ko choone lage hain
Similar questions