write a poem on morning in hindi language
Answers
Answered by
1
Hote hi savera chidiya chahakin,
phool khile aur kaliyaan mehakin,
gun-gun karta bhaura aaya,
bhor ka usane geet sunaaya.
Pankh failaye titali udati,
idhar, kabhi udhar ko mudati.
Neend mein khoyi duniya jaagi,
roj ke apane kaam ko bhaagi.
Der talak kuchh log hain sote,
subah ka sundar drishya hain khote.
Thandi thandi pawan bahe jo,
swasthya rahote yahi kahe wo.
Taaji-taaji saans bharo tum,
ab na aalas aur karo tum.
phool khile aur kaliyaan mehakin,
gun-gun karta bhaura aaya,
bhor ka usane geet sunaaya.
Pankh failaye titali udati,
idhar, kabhi udhar ko mudati.
Neend mein khoyi duniya jaagi,
roj ke apane kaam ko bhaagi.
Der talak kuchh log hain sote,
subah ka sundar drishya hain khote.
Thandi thandi pawan bahe jo,
swasthya rahote yahi kahe wo.
Taaji-taaji saans bharo tum,
ab na aalas aur karo tum.
Similar questions
Science,
7 months ago
Math,
7 months ago
India Languages,
7 months ago
English,
1 year ago
Physics,
1 year ago