English, asked by aditya0007, 1 year ago

Write a short poem in 8-10 lines highlighting the importance of khadi..give the poem a suitable title

Answers

Answered by ngaithem
1
In ruki sanso me bhi, koi bulata hai mujhe aur mere dil ke kone me kuch kah jata hai. sanse bhi chahti hain use, ankhon me basane ke liye. dil bhi chata hai use, dhadkan banane ke liye. door dekhoon asman me use, chand ki rashmiyon ki tarah, asman me taro ke beech, alag hi najar aati hai, bas ek hi roshni deti, dil chamkane ke liye. jab pas tha uske tab laga, lagta roshni hi thi wo , jo bas chamkati hai. rok nahi sakte use, uo bas ujale me hi najar aati hai. andhere me ghira tha jab main, usi ne sambhala tha. doory ghatane k liye hi to usne, pyar ki chokhat banayi thi. mujhe sambhalane ke liye, us ne chandni bikhari thi. sach kaha tha usne ki use pyar hai, par samajha hi nahi use. jab chahiye tha use sahara, jankar bhi main usse door tha, kuch kar to sakta tha, par khud se majboor tha. ab door hua usse tab pata hua, main to uska hi tha aur wo thi meri. tha jab mujhe pyar, aur wo boli. ijhar jab us ne kiya, samajh na saka main, ye to the shwet megh, liye barish ki kuch bunde, bheeg bhi nahi sakte inme, aate hain bus dil bahlane aur main le chala tha ek nayi nirasta ki jholi, laga dheere dheere ye bhar to rahi hai. kabhi kabhi hi sahi ye kuch kah to rahi hai. par jab maine usme najar dali. bina ek bund pani k wo to khali hi padi thi, barish hi nahi ayi thi aur pura bharne ki kwahish khadi thi.............
Similar questions