Hindi, asked by vaishnavi113, 1 year ago

write five shayaris on nafrat hi pyar hai

Answers

Answered by HritikRoyans
4
Mohabbat Hai Ki Nafrat Hai,
Koi Itna Toh Samjhaye,
Kabhi Main Dil Se Larti Hun,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai.

Teri Nafrat Ma Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De Aye Sanam,
Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal RoKe Bhula Dein.

Agar itni hi nafrat hai humse toh,
Dil se kuch aisi Dua kro,
Ki aaj hi tumhari Dua bhi puri ho jaye,
Aur hamari zindagi bhi.

Jab Aap Kisi Se Rooth Kar Nafrat Se Baat Karo,
Aur fir bhi Wo Uska Jawab Mohabbat Se de,
To Samajh Jaana Ki Wo Aapko Khud Se Zyada Pyar Karta Hai.

Ek Nafrat hi hai jisey,
Duniya chand Lamho mein jaan Leti hai,
Warna, Chahat ka yakin..
Dilane mein to Zindagi Beet jaati hai.

Nafrat b pyar ki buniyad hoti hai.
Mulaqaat se achi kissi ki yaad hoti hai.
Rishto me faslo ka wajud nahi hota.
Kyuki Dil ki duniya to khayalo se abaad hoti hai.

Mujh Se NAFRAT Ki Ajab Raah Nikali Us Ne,
Hasta Basta Dil Kar Diya Khali Us Ne,
Meray Ghar Ki Riwayat Se Woh Khoob Waqif Tha,
JUDAI Mang Li Ban Ke SAWALI Us Ne!

Wo inkaar karte hain ikraar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain ye ishq karne wale,
Ankhein band karte hain deedar ke liye.

Ye Mat Kahna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha,
Mai Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha,
Tumhari Chahton Ke Phool To Mehfooz Rakhe Hai,
Tumhari Nafrato Ki Peedh Ko Zinda Nahi Rakha.



Plz Mark My Answer As Brainliest
Answered by Anonymous
4
vaise ye kbb nafrat hi pyaar hai..

Maohabbat Karne Se Fursat Nahi Mili Yaaro,
Varna Hum Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.

Nafrat Mat Karna Humse Hamen Bura Lagega,
Bas Pyar Se Kah Dena Teri Jaroorat Nahi Hai.

Teri Nafrat Ma Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De Aye Sanam,
Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal RoKe Bhula Dein.

Baith Kar Sochte Hain Ab Ke Kya Khoya Kya Paya,
Unki Nafrat Ne Tode Bahut Meri Wafa Ke Ghar

Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyar Nibhate Rahe,
Lo Yeh Zindgi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si.
han aur...nafratt hi takkrar hai..

Similar questions