1. Dialogue writing in hindi: "Cricket match ke baare me dho mithro ke beech" 2. Dialogue writing in hindi: "Kaamchor naukar aur maalkeen ke beech"
Answers
1. Dialogue writing in hindi: "Cricket match ke baare me dho mithro ke beech"
Rohit : Akaash kaha jaa rhe ho ?
Akaash : Bat thik karwaane , kal distrct match hai mera .
Rohit : wahh.. bahut khoob . maine tumhara khel dekha tha kal . tumne achhi batting ki . tumahara sweep shot bahut sundar hai . Mere mamaji ka beta Barmer ki team se tha . issliye main bhi waha aaya tha .
Aakash : dhanyanwaad . Lekin muje aur mehnat krni hogi . apke bhai kon tha? Amar ?
Rohit : haa
Akash : haa wo bahut achhi bowling krta hai . uska Yorker bhut kahatrnaak hai .
Rohit : achha . chalo main bhi saath chalta hu . muje usko ek ball gift krni hai . kal uska janamdin hai .
Akash : wahh .. chalo . main batata hu konsi ball achhi hoti hai .
2. Dialogue writing in hindi: "Kaamchor naukar aur maalkeen ke beech"
Maalik : Ali tune car saaf kyu nhi ki ?
Ali : sahib meri haath mai dard tha .
Malik : kitne din se dard hai ? tumne bataya kyu nhi ?
Ali : malik kal tak thik ho jayega .
Malik : tumhe kaise pata kal thik ho jaayega ?
Ali : muje lag raha hai .
Malik : jhooth mat bolo , muje pata hai tume kaam nhi krna hai . aur pagar bhi poori chahiye.
Ali : nhi sahib aisi bat nhi hai .
Malik : koi baat nhi ab se jitne din kaam pe aaoge utne din hi pagaar hogi . naa ki poore mahine ki ek saath . tumhaari marji
Aj ghar jao , aaram kro . kal baat krenge .